Rang Pairahan Ka KHushbu Zulf Lahrane Ka Nam
rang pairahan ka KHushbu zulf lahrane ka nam
mausam-e-gul hai tumhaare baam par aane ka nam
dosto us chashm o lab ki kuchh kaho jis ke baghair
gulsitan ki baat rangin hai na mai-KHane ka nam
phir nazar mein phul mahke dil mein phir shamen jalin
phir tasawwur ne liya us bazm mein jaane ka nam
dilbari Thahra zaban-e-KHalq khulwane ka nam
ab nahin lete pari-ru zulf bikhrane ka nam
ab kisi laila ko bhi iqrar-e-mahbubi nahin
in dinon badnam hai har ek diwane ka nam
mohtasib ki KHair uncha hai usi ke faiz se
rind ka saqi ka mai ka KHum ka paimane ka nam
hum se kahte hain chaman wale ghariban-e-chaman
tum koi achchha sa rakh lo apne virane ka nam
'faiz' un ko hai taqaza-e-wafa hum se jinhen
aashna ke nam se pyara hai begane ka nam
(3440) Peoples Rate This