Rah-e-KHizan Mein Talash-e-bahaar Karte Rahe
rah-e-KHizan mein talash-e-bahaar karte rahe
shab-e-siyah se talab husn-e-yar karte rahe
KHayal-e-yar kabhi zikr-e-yar karte rahe
isi mataa pe hum rozgar karte rahe
nahin shikayat-e-hijran ki is wasile se
hum un se rishta-e-dil ustuwar karte rahe
wo din ki koi bhi jab wajh-e-intizar na thi
hum un mein tera siwa intizar karte rahe
hum apne raaz pe nazan the sharmsar na the
har ek se suKHan-e-raaz-dar karte rahe
ziya-e-bazm-e-jahan bar bar mand hui
hadis-e-shola-ruKHan bar bar karte rahe
unhin ke faiz se bazar-e-aql raushan hai
jo gah gah junun iKHtiyar karte rahe
(4585) Peoples Rate This