Phir LauTa Hai KHurshid-e-jahan-tab Safar Se
phir lauTa hai KHurshid-e-jahan-tab safar se
phir nur-e-sahar dast-o-gareban hai sahar se
phir aag bhaDakne lagi har saz-e-tarab mein
phir shoale lapakne lage har dida-e-tar se
phir nikla hai diwana koi phunk ke ghar ko
kuchh kahti hai har rah har ek rahguzar se
wo rang hai imsal gulistan ki faza ka
ojhal hui diwar-e-qafas hadd-e-nazar se
saghar to khanakte hain sharab aae na aae
baadal to garajte hain ghaTa barse na barse
pa-posh ki kya fikr hai dastar sambhaala
payab hai jo mauj guzar jaegi sar se
(3146) Peoples Rate This