Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8752c5fffa137e76e26519aac97abb88, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Nasib Aazmane Ke Din Aa Rahe Hain - Faiz Ahmad Faiz Poetry In English - Darsaal

Nasib Aazmane Ke Din Aa Rahe Hain

nasib aazmane ke din aa rahe hain

qarib un ke aane ke din aa rahe hain

jo dil se kaha hai jo dil se suna hai

sab un ko sunane ke din aa rahe hain

abhi se dil o jaan sar-e-rah rakh do

ki luTne luTane ke din aa rahe hain

Tapakne lagi un nigahon se masti

nigahen churane ke din aa rahe hain

saba phir hamein puchhti phir rahi hai

chaman ko sajaane ke din aa rahe hain

chalo 'faiz' phir se kahin dil lagaen

suna hai Thikane ke din aa rahe hain

(3165) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Nasib Aazmane Ke Din Aa Rahe Hain In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Nasib Aazmane Ke Din Aa Rahe Hain is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Nasib Aazmane Ke Din Aa Rahe Hain for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Nasib Aazmane Ke Din Aa Rahe Hain in PDF.