Na Kisi Pe ZaKHm Ayan Koi Na Kisi Ko Fikr Rafu Ki Hai
na kisi pe zaKHm ayan koi na kisi ko fikr rafu ki hai
na karam hai hum pe habib ka na nigah hum pe adu ki hai
saf-e-zahidan hai to be-yaqin saf-e-mai-kashan hai to be-talab
na wo subh wird-o-wazu ki hai na wo sham jam-o-subu ki hai
na ye gham naya na sitam naya ki teri jafa ka gila karen
ye nazar thi pahle bhi muztarib ye kasak to dil mein kabhu ki hai
kaf-e-baghban pe bahaar-e-gul ka hai qarz pahle se besh-tar
ki har ek phul ke pairahan mein numud mere lahu ki hai
nahin KHauf-e-roz-e-siyah hamein ki hai 'faiz' zarf-e-nigah mein
abhi gosha-gir wo ek kiran jo lagan us aaina-ru ki hai
(2754) Peoples Rate This