Kuchh Pahle In Aankhon Aage Kya Kya Na Nazara Guzre Tha
kuchh pahle in aankhon aage kya kya na nazara guzre tha
kya raushan ho jati thi gali jab yar hamara guzre tha
the kitne achchhe log ki jin ko apne gham se fursat thi
sab puchhen the ahwal jo koi dard ka mara guzre tha
ab ke KHizan aisi Thahri wo sare zamane bhul gae
jab mausam-e-gul har phere mein aa aa ke dobara guzre tha
thi yaron ki bohtat to hum aghyar se bhi bezar na the
jab mil baiThe to dushman ka bhi sath gawara guzre tha
ab to hath sujhai na dewe lekin ab se pahle to
aankh uThte hi ek nazar mein aalam sara guzre tha
(2118) Peoples Rate This