Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_638c8aad2ac379b286cd3e2fb7b52422, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kiye Aarzu Se Paiman Jo Maal Tak Na Pahunche - Faiz Ahmad Faiz Poetry In English - Darsaal

Kiye Aarzu Se Paiman Jo Maal Tak Na Pahunche

kiye aarzu se paiman jo maal tak na pahunche

shab-o-roz-e-ashnai mah o sal tak na pahunche

wo nazar baham na pahunchi ki muhit-e-husn karte

teri did ke wasile KHad-o-KHal tak na pahunche

wahi chashma-e-baqa tha jise sab sarab samjhe

wahi KHwab mo'tabar the jo KHayal tak na pahunche

tera lutf wajh-e-taskin na qarar sharah-e-gham se

ki hain dil mein wo gile bhi jo malal tak na pahunche

koi yar jaan se guzra koi hosh se na guzra

ye nadim-e-yak-do-saghar mere haal tak na pahunche

chalo 'faiz' dil jalaen karen phir se arz-e-jaanan

wo suKHan jo lab tak aae pe sawal tak na pahunche

(2251) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kiye Aarzu Se Paiman Jo Maal Tak Na Pahunche In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Kiye Aarzu Se Paiman Jo Maal Tak Na Pahunche is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Kiye Aarzu Se Paiman Jo Maal Tak Na Pahunche for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Kiye Aarzu Se Paiman Jo Maal Tak Na Pahunche in PDF.