Kai Bar Is Ka Daman Bhar Diya Husn-e-do-alam Se
kai bar is ka daman bhar diya husn-e-do-alam se
magar dil hai ki is ki KHana-virani nahin jati
kai bar is ki KHatir zarre zarre ka jigar chera
magar ye chashm-e-hairan jis ki hairani nahin jati
nahin jati mata-e-lal-o-gauhar ki giran-yabi
mata-e-ghairat-o-iman ki arzani nahin jati
meri chashm-e-tan-asan ko basirat mil gai jab se
bahut jaani hui surat bhi pahchani nahin jati
sar-e-KHusrau se naz-e-kaj-kulahi chhin bhi jata hai
kulah-e-khusrawi se bu-e-sultani nahin jati
ba-juz diwangi wan aur chaara hi kaho kya hai
jahan aql o KHirad ki ek bhi mani nahin jati
(7179) Peoples Rate This