Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hain Naqsh-e-mazi MiTe MiTe Se
kabhi kabhi yaad mein ubharte hain naqsh-e-mazi miTe miTe se
wo aazmaish dil o nazar ki wo qurbaten si wo fasle se
kabhi kabhi aarzu ke sahra mein aa ke rukte hain qafile se
wo sari baaten lagaw ki si wo sare unwan visal ke se
nigah o dil ko qarar kaisa nashat o gham mein kami kahan ki
wo jab mile hain to un se har bar ki hai ulfat nae sire se
bahut giran hai ye aish-e-tanha kahin subuk-tar kahin gawara
wo dard-e-pinhan ki sari duniya rafiq thi jis ke waste se
tumhin kaho rind o mohtasib mein hai aaj shab kaun farq aisa
ye aa ke baiThe hain mai-kade mein wo uTh ke aae hain mai-kade se
(3220) Peoples Rate This