Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_551e730d351311bf5c194a0f5e4e05fa, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kab Thahrega Dard Ai Dil Kab Raat Basar Hogi - Faiz Ahmad Faiz Poetry In English - Darsaal

Kab Thahrega Dard Ai Dil Kab Raat Basar Hogi

kab Thahrega dard ai dil kab raat basar hogi

sunte the wo aaenge sunte the sahar hogi

kab jaan lahu hogi kab ashk guhar hoga

kis din teri shunwai ai dida-e-tar hogi

kab mahkegi fasl-e-gul kab bahkega mai-KHana

kab subh-e-suKHan hogi kab sham-e-nazar hogi

waiz hai na zahid hai naseh hai na qatil hai

ab shahr mein yaron ki kis tarah basar hogi

kab tak abhi rah dekhen ai qamat-e-jaanana

kab hashr muayyan hai tujh ko to KHabar hogi

(4116) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Thahrega Dard Ai Dil Kab Raat Basar Hogi In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Kab Thahrega Dard Ai Dil Kab Raat Basar Hogi is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Kab Thahrega Dard Ai Dil Kab Raat Basar Hogi for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Kab Thahrega Dard Ai Dil Kab Raat Basar Hogi in PDF.