Hum Musafir Yunhi Masruf-e-safar Jaenge
hum musafir yunhi masruf-e-safar jaenge
be-nishan ho gae jab shahr to ghar jaenge
kis qadar hoga yahan mehr-o-wafa ka matam
hum teri yaad se jis roz utar jaenge
jauhari band kiye jate hain bazar-e-suKHan
hum kise bechne almas-o-guhar jaenge
nemat-e-zist ka ye qarz chukega kaise
lakh ghabra ke ye kahte rahen mar jaenge
shayad apna bhi koi bait hudi-KHwan ban kar
sath jaega mere yar jidhar jaenge
'faiz' aate hain rah-e-ishq mein jo saKHt maqam
aane walon se kaho hum to guzar jaenge
(4640) Peoples Rate This