Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_06f221b573ff9d463d8e6ee99740e3e3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Samt Pareshan Teri Aamad Ke Qarine - Faiz Ahmad Faiz Poetry In English - Darsaal

Har Samt Pareshan Teri Aamad Ke Qarine

har samt pareshan teri aamad ke qarine

dhoke diye kya kya hamein baad-e-sahari ne

har manzil-e-ghurbat pe guman hota hai ghar ka

bahlaya hai har gam bahut dar-ba-dari ne

the bazm mein sab dud-e-sar-e-bazm se shadan

be-kar jalaya hamein raushan-nazri ne

mai-KHane mein aajiz hue aazurda-dili se

masjid ka na rakkha hamein aashufta-sari ne

ye jama-e-sad-chaak badal lene mein kya tha

mohlat hi na di 'faiz' kabhi baKHiya-gari ne

(3423) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Samt Pareshan Teri Aamad Ke Qarine In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Har Samt Pareshan Teri Aamad Ke Qarine is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Har Samt Pareshan Teri Aamad Ke Qarine for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Har Samt Pareshan Teri Aamad Ke Qarine in PDF.