Chand Nikle Kisi Jaanib Teri Zebai Ka
chand nikle kisi jaanib teri zebai ka
rang badle kisi surat shab-e-tanhai ka
daulat-e-lab se phir ai KHusraw-e-shirin-dahanan
aaj arzan ho koi harf shanasai ka
garmi-e-rashk se har anjuman-e-gul-badanan
tazkira chheDe teri pairahan-arai ka
sehn-e-gulshan mein kabhi ai shah-e-shamshad-qadan
phir nazar aae saliqa teri ranai ka
ek bar aur masiha-e-dil-e-dil-zadagan
koi wada koi iqrar masihai ka
dida o dil ko sambhaalo ki sar-e-sham-e-firaq
saz-o-saman baham pahuncha hai ruswai ka
(2757) Peoples Rate This