Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4cdbdabab2d525148f117b8206c48c20, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Jo Koi Puchhe Bhi To Us Se Kya Sharh-e-haalat Karen - Faiz Ahmad Faiz Poetry In English - Darsaal

Ab Jo Koi Puchhe Bhi To Us Se Kya Sharh-e-haalat Karen

ab jo koi puchhe bhi to us se kya sharh-e-haalat karen

dil Thahre to dard sunaen dard thame to baat karen

sham hui phir josh-e-qadah ne bazm-e-harifan raushan ki

ghar ko aag lagaen hum bhi raushan apni raat karen

qatl-e-dil-o-jaan apne sar hai apna lahu apni gardan pe

mohr-ba-lab baiThe hain kis ka shikwa kis ke sath karen

hijr mein shab bhar dard-o-talab ke chand sitare sath rahe

subh ki virani mein yaro kaise basar auqat karen

(3517) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Jo Koi Puchhe Bhi To Us Se Kya Sharh-e-haalat Karen In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Ab Jo Koi Puchhe Bhi To Us Se Kya Sharh-e-haalat Karen is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Ab Jo Koi Puchhe Bhi To Us Se Kya Sharh-e-haalat Karen for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Ab Jo Koi Puchhe Bhi To Us Se Kya Sharh-e-haalat Karen in PDF.