Usi Se Fikr-o-fan Ko Har GhaDi Mansub Rakhte Hain
usi se fikr-o-fan ko har ghaDi mansub rakhte hain
ghazal wale ghazal ko surat-e-mahbub rakhte hain
zaban ki chashni se tar-ba-tar ghazlon ko paDhta hun
ye ruhani ghiza hai hum jise marghub rakhte hain
ghazal tahzib hai meri ghazal mera tamaddun hai
buzurgon ne jo rakkha tha wahi uslub rakhte hain
sunate hain tahat mein jab ghazal andaz mein apne
pukar uThti hai duniya zauq hum kya KHub rakhte hain
ghazal bas is liye phaila rahi hai apne daman ko
ki hum ghazlon ke tewar ko bahut hi KHub rakhte hain
jinhen ghazlon se uljhan hai miyan 'fayyaz' kya bolen
nazakat se ghazal ki hum unhen marub rakhte hain
(918) Peoples Rate This