Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cdd5d19f2a3821d3575ca23ccade3e74, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jari To Ho Sab Ke Liye Farman-e-mohabbat - Faiyyaz Rash Poetry In English - Darsaal

Jari To Ho Sab Ke Liye Farman-e-mohabbat

jari to ho sab ke liye farman-e-mohabbat

kar dijiye dil se zara ailan-e-mohabbat

is shaKHs ko dukh-dard satata bhi nahin hai

jis dil mein raha karta hai iman-e-mohabbat

aankhon se badan se teri zulfon ki mahak se

karta hun main din-raat hi ai jaan-e-mohabbat

kya kijiye mera na hua jis ke liye main

karta raha har moD pe saman-e-mohabbat

kuchh bhi nahin behtar hai zamane mein kahin par

duniya mein nahin kuchh bhi hai shayan-e-mohabbat

mushkil hain bahut raste nafrat ke ai bhai

hum sab ke liye sab se hai aasan mohabbat

un ke liye duniya bhi wasia hoti hai 'fayyaz'

hota hai wasia jin ka bhi daman-e-mohabbat

(853) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jari To Ho Sab Ke Liye Farman-e-mohabbat In English By Famous Poet Faiyyaz Rash. Jari To Ho Sab Ke Liye Farman-e-mohabbat is written by Faiyyaz Rash. Read famous Poem Jari To Ho Sab Ke Liye Farman-e-mohabbat for youth and Student by Faiyyaz Rash. Free Download Jari To Ho Sab Ke Liye Farman-e-mohabbat in PDF.