Har Qadam KHauf Hai Dahshat Hai Riya-kari Hai

har qadam KHauf hai dahshat hai riya-kari hai

raushni mein bhi andheron ka safar jari hai

taqat-e-kufr ne kohram macha rakkha hai

jaane kis kis ko miTane ki ye tayyari hai

mil ke sab qahr bapa karte hain insanon par

hai junun zehn mein aur aankh mein chingari hai

apne andaz se ek sath yahan par rahna

ye hamari hi nahin teri bhi lachaari hai

ho gharib aur amir chahe ho buDha bachcha

kaun hai apni jise jaan nahin pyari hai

hum ne har ahd mein rakkha hai bharam tera jab

tu hi ai waqt bata kya ye wafadari hai

us ko duniya mein koi aankh dikha sakta hai kya

'rashk' jis qaum mein ehsas hai bedari hai

(1183) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Qadam KHauf Hai Dahshat Hai Riya-kari Hai In English By Famous Poet Faiyyaz Rash. Har Qadam KHauf Hai Dahshat Hai Riya-kari Hai is written by Faiyyaz Rash. Read famous Poem Har Qadam KHauf Hai Dahshat Hai Riya-kari Hai for youth and Student by Faiyyaz Rash. Free Download Har Qadam KHauf Hai Dahshat Hai Riya-kari Hai in PDF.