Un Labon Ki Yaad Aai Gul Ke Muskurane Se
un labon ki yaad aai gul ke muskurane se
zaKHm-e-dil ubhar aae phir bahaar aane se
jaane thi gurez un ko ya ki sharm mahfil mein
raat mujh se katrae wo nazar milane se
raaz jo chhupae the aaj sab pe zahir hain
kuchh meri kahani se kuchh tere fasane se
haal jo hamara hai sab to un pe raushan hai
phir bataun kya hoga haal-e-dil sunane se
un ko hum se kya matlab hum ko kya gharaz 'fayyaz'
tark ishq kar baiThe hum to ek zamane se
(694) Peoples Rate This