Kaisi Uftad PaDi
dekhte dekhte sab dhund mein tahlil hue
dasht kohsar falak aab nabaatat sabhi
buildingen chhoTi-baDi dur talak phaile ghar
ikka-dukka jo kahin log nazar aate the
wo bhi mashghul the
be-ruh si sar-garmi mein
har koi nauha-kunan tha ki purani sadiyan
buDhi tahzib ko dafna ke abhi lauTi hain
aur ab DhunDhti hain
an-dekhe khanDar ko shayad
kaisa gambhir safar KHatm hua aaKHir-e-kar
kaisi uftad paDi ahl-e-zamin aaj ke din
hum ki aaghaz the anjam ki tamsil hue
dekhte dekhte hum dhund mein tahlil hue
(1225) Peoples Rate This