Kai Lamhe
tumhein malum hai jab bhi
purane yar
galiyon ki
yunhi be-sud baaton mein
kai ghanTon ki
be-masraf
nashist-e-raegan ko
yaad karte hain
to kitna lutf aata hai
purane ghar mein guzre pal
aur un mein
sab kahi aur an-kahi
baaton ko jab dohraya jata hai
to kitna lutf aata hai
tumhein malum hai jab is tarah ke
an-ginat lamhe
jinhen hum yaad karte hain
jinhen hum DhunDte hain
zindagi ki har udasi mein
muqayyad hain ghaDi ke ain markaz mein
rawan in suiyon ki
be-sila be-kar harakat mein
tumhein malum hai jab bhi mujhe in ki zarurat thi
to main ne waqt se
in aaKHiri ayyam mein itni guzarish ki
mujhe de do wo sab lamhe
ki ab in ki zarurat hai
to wo mujh se yahi kahta
kai lamhe
kalaiyon par bandhi ghaDiyon se bahar hain
unhen main kaise wapas dun
unhen main kaise lauTa dun
(2373) Peoples Rate This