Ham-zad
jo chalta hai to qadmon ki koi aahaT nahin hoti
talash-e-farq-e-nek-o-bad ki KHwahish ko liye dil mein
guzarta hai ghubar-zist ki gum-nam galiyon se
dhundlaka sa koi hai ya koi be-KHwab si shab hai
koi be-nur rasta hai ki jis mein kho gaya hun main
koi aawaz hai jo ek darida pairahan pahne
hujum-e-be-sar-o-pa mein kai sadiyon se rahti hai
guzarti hai to har jaanib sukut-e-marg bahta hai
khanDar mein sans leta hai
koi be-KHanuman saya mujhe aawaz deta hai
(1794) Peoples Rate This