Muqaffal Chup
main ki guftar ka mahir tha jahan-dida tha
log sunte the meri aur sunate bhi the
apne dukh-dard mein Dubi hui sari baaten
masala kaun sa aisa tha jise hal na kiya
aaj bhi bhiD thi logon ki mere chaaron-taraf
main ne har ek ko baaton mein sukun-yab kiya
phir koi dur se deta hai sada kaun ho tum
aae ho kaun si nagri se zara nam to lo
nam to main ne bataya use fauran apna
aur main kaun hun aaya hun main kis nagri se
main ne jab KHud se ye puchha to musalsal chup thi
chaaron-atraf mein sadiyon ki muqaffal chup thi
(1171) Peoples Rate This