Teri Aankhen Na Rahin Aaina-KHana Mere Dost
teri aankhen na rahin aaina-KHana mere dost
kitni tezi se badalta hai zamana mere dost
jaane kis kaam mein masruf raha barson tak
yaad aaya hi nahin tujh ko bhulana mere dost
puchhna mat ki ye kya haal bana rakkha hai
aaina ban ke mera dil na dukhana mere dost
is mulaqat mein jo ghair-zaruri ho jae
yaad rahta hai kise hath milana mere dost
dekhna mujh ko magar meri pazirai ko
apni aankhon mein sitare na sajaana mere dost
ab wo titli hai na wo umr taaqub wali
main na kahta tha bahut dur na jaana mare dost
hijr taqdir mein likkha tha ki majburi thi
chhoD is baat se kya milna milana mere dost
tu ne ehsan kiya apna bana kar mujh ko
warna main kya tha haqiqat na fasana mere dost
is kahani mein kise kaun kahan chhoD gaya
yaad aa jae to mujh ko bhi batana mere dost
chhoD aaya hun hawaon ki nigahbani mein
wo samundar wo jazira wo KHazana mere dost
aise raston pe jo aapas mein kahin milte hon
kyun na us moD se ho jaen rawana mere dost
(1072) Peoples Rate This