Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5d38e6c0bcfc3b3cb677a35de91f6186, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
RaKHt-e-safar Hai IsMein Qarina Bhi Chahiye - Faisal Ajmi Poetry In English - Darsaal

RaKHt-e-safar Hai IsMein Qarina Bhi Chahiye

raKHt-e-safar hai is mein qarina bhi chahiye

aankhen bhi chahiye dil-e-bina bhi chahiye

un ki gali mein ek mahina guzar kar

kahna ki aur ek mahina bhi chahiye

mahkega un ke dar pe ki zaKHm-e-dahan hai ye

wapas jab aao to ise sina bhi chahiye

rona to chahiye hai ki dahliz un ki hai

rone ka rone walo qarina bhi chahiye

daulat mili hai dil ki to rakkho sambhaal kar

is ke liye dimagh bhi sina bhi chahiye

dil kah raha tha aur ghaDi thi qubul ki

makka bhi chahiye hai madina bhi chahiye

(921) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

RaKHt-e-safar Hai IsMein Qarina Bhi Chahiye In English By Famous Poet Faisal Ajmi. RaKHt-e-safar Hai IsMein Qarina Bhi Chahiye is written by Faisal Ajmi. Read famous Poem RaKHt-e-safar Hai IsMein Qarina Bhi Chahiye for youth and Student by Faisal Ajmi. Free Download RaKHt-e-safar Hai IsMein Qarina Bhi Chahiye in PDF.