Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8edcc9bf3225d1584a61516ddc52d51e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main ZaKHm Kha Ke Gira Tha Ki Tham Usne Liya - Faisal Ajmi Poetry In English - Darsaal

Main ZaKHm Kha Ke Gira Tha Ki Tham Usne Liya

main zaKHm kha ke gira tha ki tham us ne liya

muaf kar ke mujhe intiqam us ne liya

main so gaya to koi nind se uTha mujh mein

phir apne hath mein sab intizam us ne liya

kabhi bhulaya kabhi yaad kar liya us ko

ye kaam hai to bahut mujh se kaam us ne liya

na jaane kis ko pukara gale laga ke mujhe

magar wo mera nahin tha jo nam us ne liya

bahaar aai to phulon se un ki KHushbu li

hawa chali to hawa se KHiram us ne liya

fana ne kuchh nahin manga sawal karte hue

isi ada pe KHuda se dawam us ne liya

(1019) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main ZaKHm Kha Ke Gira Tha Ki Tham Usne Liya In English By Famous Poet Faisal Ajmi. Main ZaKHm Kha Ke Gira Tha Ki Tham Usne Liya is written by Faisal Ajmi. Read famous Poem Main ZaKHm Kha Ke Gira Tha Ki Tham Usne Liya for youth and Student by Faisal Ajmi. Free Download Main ZaKHm Kha Ke Gira Tha Ki Tham Usne Liya in PDF.