Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ef200b06ddd4ba47b6494f74f796d2ad, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Ghaar Mein Tha Aur Hawa Ke Baghair Tha - Faisal Ajmi Poetry In English - Darsaal

Main Ghaar Mein Tha Aur Hawa Ke Baghair Tha

main ghaar mein tha aur hawa ke baghair tha

ek roz aaftab ziya ke baghair tha

sahil pe aa ke Dub gai naw apne aap

ek shaKHs us mein apni raza ke baghair tha

sab ro rahe the KHauf ki diwar se lage

kohram tha ki saut-o-sada ke baghair tha

kyun naqsh-e-pa tamam kisi daere mein the

ye kaun tha jo dast-e-dua ke baghair tha

'faisal' jo shahr aap hi mismar ho gaya

kya ilm kab se hamd-o-sana ke baghair tha

(895) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Ghaar Mein Tha Aur Hawa Ke Baghair Tha In English By Famous Poet Faisal Ajmi. Main Ghaar Mein Tha Aur Hawa Ke Baghair Tha is written by Faisal Ajmi. Read famous Poem Main Ghaar Mein Tha Aur Hawa Ke Baghair Tha for youth and Student by Faisal Ajmi. Free Download Main Ghaar Mein Tha Aur Hawa Ke Baghair Tha in PDF.