Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_35ac816190cdb4f5ce425340f2f29481, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kisi Ne Kaise KHazane Mein Rakh Liya Hai Mujhe - Faisal Ajmi Poetry In English - Darsaal

Kisi Ne Kaise KHazane Mein Rakh Liya Hai Mujhe

kisi ne kaise KHazane mein rakh liya hai mujhe

uTha ke agle zamane mein rakh liya hai mujhe

wo mujh se apne tahaffuz ki bhik le ke gaya

aur ab usi ne nishane mein rakh liya hai mujhe

main khel haar chuka hun teri sharakat mein

ki tu ne mat ke KHane mein rakh liya hai mujhe

mere wajud ki shayad yahi haqiqat hai

ki us ne apne fasane mein rakh liya hai mujhe

shajar se bichhDa hua barg-e-KHushk hun 'faisal'

hawa ne apne gharane mein rakh liya hai mujhe

(1019) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ne Kaise KHazane Mein Rakh Liya Hai Mujhe In English By Famous Poet Faisal Ajmi. Kisi Ne Kaise KHazane Mein Rakh Liya Hai Mujhe is written by Faisal Ajmi. Read famous Poem Kisi Ne Kaise KHazane Mein Rakh Liya Hai Mujhe for youth and Student by Faisal Ajmi. Free Download Kisi Ne Kaise KHazane Mein Rakh Liya Hai Mujhe in PDF.