Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2c7bfc36db20467276f42a35789245ba, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Harf Apne Hi Maani Ki Tarah Hota Hai - Faisal Ajmi Poetry In English - Darsaal

Harf Apne Hi Maani Ki Tarah Hota Hai

harf apne hi maani ki tarah hota hai

pyas ka zaiqa pani ki tarah hota hai

main bhi rukta hun magar reg-e-rawan ki surat

mera Thahrao rawani ki tarah hota hai

tere jate hi main shiknon se na bhar jaun kahin

kyun juda mujh se jawani ki tarah hota hai

jism thakta nahin chalne se ki wahshat ka safar

KHwab mein naql-e-makani ki tarah hota hai

chand Dhalta hai to us ka bhi mujhe dukh 'faisal'

kisi gum-gashta nishani ki tarah hota hai

(905) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Harf Apne Hi Maani Ki Tarah Hota Hai In English By Famous Poet Faisal Ajmi. Harf Apne Hi Maani Ki Tarah Hota Hai is written by Faisal Ajmi. Read famous Poem Harf Apne Hi Maani Ki Tarah Hota Hai for youth and Student by Faisal Ajmi. Free Download Harf Apne Hi Maani Ki Tarah Hota Hai in PDF.