Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c3f7bce2d4d7c86342f81568040a243e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gir Jae Jo Diwar To Matam Nahin Karte - Faisal Ajmi Poetry In English - Darsaal

Gir Jae Jo Diwar To Matam Nahin Karte

gir jae jo diwar to matam nahin karte

karte hain bahut log magar hum nahin karte

hai apni tabiat mein jo KHami to yahi hai

hum ishq to karte hain magar kam nahin karte

nafrat se to behtar hai ki raste hi juda hon

bekar guzargahon ko baham nahin karte

har sans mein dozaKH ki tapish si hai magar hum

suraj ki tarah aag ko maddham nahin karte

kya ilm ki rote hon to mar jate hon 'faisal'

wo log jo aankhon ko kabhi nam nahin karte

(1441) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gir Jae Jo Diwar To Matam Nahin Karte In English By Famous Poet Faisal Ajmi. Gir Jae Jo Diwar To Matam Nahin Karte is written by Faisal Ajmi. Read famous Poem Gir Jae Jo Diwar To Matam Nahin Karte for youth and Student by Faisal Ajmi. Free Download Gir Jae Jo Diwar To Matam Nahin Karte in PDF.