Zabanon Ka Bosa
zabanon ke ras mein ye kaisi mahak hai
ye bosa ki jis se mohabbat ki sahba ki uDti hai KHushbu
ye bad-mast KHushbu jo gahra ghunuda nasha la rahi hai
ye kaisa nasha hai
mere zehn ke reze reze mein ek aankh si khul gai hai
tum apni zaban mere munh mein rakhe jaise patal se meri jaan khinchte ho
ye bhiga hua garm o tarik bosa
amawas ki kali barasti hui raat jaise umaDti chali aa rahi hai
kahin koi saat azal se ramida
meri ruh ke dasht mein uD rahi thi
wo saat qarin-tar chali aa rahi hai
mujhe aisa lagta hai
tarikiyon ke
larazte hue pul ko
main par karti chali ja rahi hun
ye pul KHatm hone ko hai
aur ab
us ke aage
kahin raushni hai
(1809) Peoples Rate This