Tiflan Ki To Kuchh Taqsir Na Thi
ai dost purane pahchane
hum kitni muddat baad mile
aur kitni sadiyon baad mili
ye ek nigah-e-mehr-o-saKHa
jo apni saKHa se KHud pur-nam
baiTho to zara
batlao to kya
ye sach hai mere taaqub mein
phirta hai hujum-e-sang-zanan?
kya nil bahut hain chehre par?
kya kasa-e-sar hai KHun se tar?
paiwand-e-qaba dushnam bahut
paiwast-e-jigar ilzam bahut
ye nazr-e-karam kyun hai pur-nam?
jab nikle ku-e-malamat mein
ek ghaugha to hum ne bhi suna
tiflan ki to kuchh taqsir na thi
hum aap hi the yun KHud-rafta
madhoshi ne mohlat hi na di
hum muD ke nazara kar lete
bachne ki to surat KHair na thi
darman ka hi chaara kar lete
pal bhar bhi hamare kar-e-junun
ghaflat jo gawara kar lete
(1343) Peoples Rate This