Tafsil Masafat Ki
ek din jo baham honge
tujh se tere darmanda
kya arz guzarenge
kya haal sunaenge
mauhum kashida hai
taswir qayamat ki
shayad na suna paen
tafsil masafat ki
lab basta rahen shayad
ye din jo guzare hain
mahram hai koi kis ka
ya zaKHm ki sargoshi
ya hamare hain
aankhon pe kiye saya
kab dur talak dekha
larzan thi zamin kis pal
kab su-e-falak dekha
kab dasht ki tanhai
aankhon mein utar aai
kab wahm samaat thi
kab kho gai goyai
kis moD pe hairan the
kis rah mein viran the
ijmal haqiqat ke
shayad na raqam honge
ek din jo baham honge
tak lenge teri surat
aur sar ko jhuka lenge
mal Dalenge aankhon ko
gar yaad sarab aae
gum-sum teri chaukhaT par
ho jaenge hum shayad
chhu kar tere daman ko
so jaenge hum shayad
(1441) Peoples Rate This