Inqilabi Aurat
ranbhumi mein laDte laDte main ne kitne sal
ek din jal mein chhaya dekhi chaTTe ho gae baal
papaD jaisi huin haDDiyan jalne lage hain dant
jagah jagah jhurriyon se bhar gai sare tan ki khaal
dekh ke apna haal hua phir us ko bahut malal
are main buDhiya ho jaungi aaya na tha KHayal
us ne socha
gar phir se mil jae jawani
jis ko likhte hain diwani
aur mastani
jis mein us ne inqalab lane ki Thani
wahi jawani
ab ki bar nahin dungi koi qurbani
bas la-haul paDhungi aur nahin dungi koi qurbani
dil ne kaha
kis soch mein hai ai pagal baDhiya
kahan jawani
yani us ko guzre ab tak kafi arsa bit chuka hai
ye KHayal bhi der se aaya
bas ab ghar ja
buDhiya ne kab us ki mani
haalanki ab wo hai nani
zahir hai ab aur wo kar bhi kya sakti thi
aasman par lekin tare aankh-micholi khel rahe the
raat ke panchhi bol rahe the
aur kahte the
ye shayad us ki aadat hai
ya shayad us ki fitrat hai
(1938) Peoples Rate This