Ek Raat Ki Kahani
baDi suhani si raat thi wo
hawa mein an-jaani khoi khoi mahak rachi thi
bahaar ki KHush-gawar hiddat se raat gulnar ho rahi thi
rupahle sapne se aasman par sahab ban kar bikhar gae the
aur aisi ek raat ek aangan mein koi laDki khaDi hui thi
KHamosh tanha
wo apni nazuk hasin sochon ke shahr mein kho ke rah gai thi
dhanak ke sab rang us ki aankhon mein bhar gae the
wo aisi hi raat thi ki rahon mein us ki moti bikhar gae the
hazar achhute kunware sapne
nazar mein us ki chamak rahe the
sharir si raat us ko chupke se wo kahani suna rahi thi
ki aaj
wo apni chuDiyon ki khanak se sharmai ja rahi thi
(1384) Peoples Rate This