Aalam-e-barzaKH
ye to barzaKH hai yahan waqt ki ijad kahan
ek baras tha ki mahina hamein ab yaad kahan
wahi tapta hua gardun wahi angara zamin
ja-ba-ja tishna o aashufta wahi KHak-nashin
shab-garan zist-garan-tar hi to kar jati thi
sud-KHoron ki tarah dar pe sahar aati thi
zist karne ki mashaqqat hi hamein kya kam thi
mustazad us pe pirohit ka junun-e-taza
sab ko mil jae gunahon ka yahin KHamyaza
na-rawa-dar fazaon ki jhulasti hui lu!
mohtasib kitne nikal aae gharon se har su
taDte hain kisi chehre pe tarawat to nahin
koi lab nam to nahin bashre pe farhat to nahin
kucha kucha mein nikale hue KHuni dide
gurz uThae hue dhamkate phira karte hain
nau-e-adam se bahar-taur riya ke talib
ruh be-zar hai kyun chhoD na jae qalib
zindagi apni isi taur jo guzri 'ghaalib'
hum bhi kya yaad karenge ki KHuda rakhte the
(1508) Peoples Rate This