Chaar-su Hai BaDi Wahshat Ka Saman
chaar-su hai baDi wahshat ka saman
kisi aaseb ka saya hai yahan
koi aawaz si hai marsiyan-KHwan
shahr ka shahr bana goristan
ek maKHluq jo basti hai yahan
jis pe insan ka guzarta hai guman
KHud to sakit hai misal-e-taswir
jumbish-e-ghair se hai raqs-kunan
koi chehra nahin juz zer-e-naqab
na koi jism hai juz be-dil-o-jaan
ulma hain dushman-e-fahm-o-tahaqiq
kodani shewa-e-danish-mandan
shair-e-qaum pe ban aai hai
kizb kaise ho tasawwuf mein nihan
lab hain masruf-e-qasida-goi
aur aankhon mein hai zillat uryan
sabz KHat aaqibat-o-din ke asir
parsa KHush-tan-o-nau-KHez jawan
ye zan-e-naghma-gar-o-ishq-shiar
yas-o-hasrat se hui hai hairan
kis se ab aarzu-e-wasl karen
is KHarabe mein koi mard kahan
(1555) Peoples Rate This