Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_jo6v60o0bt0oa7uejb7519pu51, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sabz Ruton Mein Qadim Gharon Ki KHushbu - Faheem Shanas Kazmi Poetry In English - Darsaal

Sabz Ruton Mein Qadim Gharon Ki KHushbu

jin galiyon ka suraj

rasta bhul gaya ho

un mein kisi bhi aahaT ka

koi git nahin gunja karta

bosida darwaze

khiDkiyan

bal khate chobi zinon par

nachti rahti hai virani

gard-o-ghubar mein Dube kamre

aapas mein baaten karte hain

band dariche

sanpon jaisi aankhon se

dur-daraaz ko jaane wali

sabz ruton ki yaadon mein

rote rote so jate hain

un sab logon ki yaadon mein

jin ki jismon ki KHushbu ko

saint ke rakhne wale lamhe

mah-o-sal ki gard mein dabte jate hain

band gharon ki KHushbu se

KHamoshi aur tanhai maut ki baaten karte hain

(841) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sabz Ruton Mein Qadim Gharon Ki KHushbu In English By Famous Poet Faheem Shanas Kazmi. Sabz Ruton Mein Qadim Gharon Ki KHushbu is written by Faheem Shanas Kazmi. Read famous Poem Sabz Ruton Mein Qadim Gharon Ki KHushbu for youth and Student by Faheem Shanas Kazmi. Free Download Sabz Ruton Mein Qadim Gharon Ki KHushbu in PDF.