Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7dbeb72ddff0443cd66cfdf2a6bb98be, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sabr Ki Chadar Tah Kar Di - Faheem Shanas Kazmi Poetry In English - Darsaal

Sabr Ki Chadar Tah Kar Di

koi aag piye ki zahr piye

ya sanp Dase ki maut mare

ab dhup ke jal-thal dariya se

koi apne munh mein ret bhare

hum ne to piyala ulaT diya

aur ulaT diya

har ek manzar

jab sham ki aanhken KHun huin

aur budla boTi boTi thi

ye basti zulm ki zulmat mein

tab kachchi dhup chabaati thi

aur dariya piti jati thi

miswak zamin mein gaD di hai

ab raat se raat nikali hai

aur aag mein Dali mast dhamal

aur rakh mein rakh mila di hai

ab KHair ki KHatm hui ummid

ab phanko ret

aur dhup piyo

ya sanp Dase ki maut maro

hum ne to piyala ulaT diya

aur sabr ki chadar tah kar di

(828) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sabr Ki Chadar Tah Kar Di In English By Famous Poet Faheem Shanas Kazmi. Sabr Ki Chadar Tah Kar Di is written by Faheem Shanas Kazmi. Read famous Poem Sabr Ki Chadar Tah Kar Di for youth and Student by Faheem Shanas Kazmi. Free Download Sabr Ki Chadar Tah Kar Di in PDF.