Sab Khel-tamasha KHatm Hua
jab sham ki palken tharrain
yaadon ki aanhken bhar aain
har lahr mein ek samundar tha
jo dil ko baha le jata tha
sahil se dur jaziron par
dil bahte bahte Dub gaya
phir raat hui
phir hawa mein aansu ghulne lage
phir KHwabon ki mehrabon mein
main ghar ka rasta bhul gaya
phir sans se pahle maut aai
aur khel-tamasha KHatm hua
main bich gali mein kaise gir kar
TuT gaya
(1146) Peoples Rate This