Qissa Tamam
KHak mein KHak mili
aur hua qissa tamam
aag mein aag mile to bhaDke
aab mein aab mile to machle
KHak mein KHak mile
aur ho sab qissa tamam
jaise sae pe gira ho saya
jaise chha jae sham
garm pur-shor se din ka ye bhayanak anjam
waqt be-rahm
ghazabnak
bala ka saffak
waqt wo sail-e-rawan
jis ke aage jo chale wo bhi mare
jis se pichhe jo rahe wo bhi mare
aur wo waqt ki tasKHir ko nikla tha kabhi
phir wo raste mein raha
sham hui
der hui
KHak mein KHak mili
us ko malum tha ret aaina hai
aaina kaisa hai kirchi kirchi
dhup aisi ki munDeron se giri jati hai
KHwab se rang churana
aag se KHud ko bachana koi aasan to nahin
waqt se aage nikalna hoga
so wo nikla aur phir
rang mein rang mila
aag se aag jali
KHak mein KHak mili
zindagi khul ke hansi
(868) Peoples Rate This