Mujhe Kaun Bulata Rahta Hai
mire panw ke niche KHak nahin
kisi aur zamin ki miTTi hai
mere hath mein waqt ki rasen hain
jo pal pal phisli jati hain
aur hare daraKHton ki shaKHen
mera rasta jhankti rahti hain
aur sabz ghanera jangal hai
mere panw ke niche chand nahin
ek aur hi des ki miTTi hai
aur dhup ka dariya mauj mein hai
aur dasht mere qadmon se lipTa jata hai
mujhe koi na koi bulata hai
mere panw bhi mere panw nahin
mera jism nahin meri jaan nahin
meri aaankhon ne ghaddari ki
mere hath kisi ne kaT diye
mera dil mujhe rah mein chhoD gaya
ab dhup ka dariya mauj mein hai
aur dur koi jangal mein hai
(896) Peoples Rate This