Hamare Shajre Bikhar Gae Hain
guman ki be-rang saaton mein
nawah-e-karb-o-bala se darbar-e-sham tak hum
lahu ki ek ek bund ka sab KHiraj de kar
tamam qarze chukate aae
shikasta dahliz
lahu ki mehrab
sinan ka mimbar
hamari izzat baDhate aae
wo hum hi the jo qayam karte
rukua mein jhukte
zakat de kar
KHud apne hisse ka taam de kar
darud o salat paDhte aae
wo hum the jo gharon se nikle
to phir abad tak
palaT ke ghar ki taraf na dekha
sitara-e-sahari gawah hai
ki hum ne insan ko
chhanw dete
ghanere peDon pe KHun chhiDka
jhulaste sahra ko tazgi di
dahakti dharti ko zindagi di
magar wo taskin ka pul kahan hai
bhanwar bhanwar hai zamana sara
wajud apne kidhar gae hain
hamare shajre bikhar gae hain
(839) Peoples Rate This