Bhagat-singh Ke Nam
kahin jab sarfaroshi ki
mohabbat istaqamat ki
shahadat ki watan ki baat chalti hai
mujhe tum yaad aate ho
ye dhaare ruk nahin sakte
sitare jhuk nahin sakte
kinare dekhte rahna
nazare ruk nahin sakte
hawa bahti hi rahti hai
samundar se samundar tak
lahu daryaft karta hai
nai tahrik ka manshur
ye kirnen darj karti hain
har ek dharti pe hone ka naya dastur
har ek raste pe hain dar-o-rasan ke nilgun sae
lahu se aag ki lapTen nikalti hain
qataron mein dar-e-zindan pe har lamha
ajab si bhiD rahti hai
ye kaisi aag hai jo sard hone ko nahin aati
ye kaisa KHwab hai tabir aankhen chhin leti hai
shujaat qarz hoti hai
mohabbat farz hoti hai
kisi colonel ke qatl-e-am se lashkar nahin rukte
salibon se nahin Darte
lahu ke dhaare mein bahte sitare ruk nahin sakte
abad ke aasmanon se ishaare ruk nahin sakte
ajab hi log hote hain
KHud apni miTTi ki KHatir jo jaan-o-tan luTate hain
ghazab hi log hote hain
ki jo tariKH ke dhaare ke ruKH ko moD dete hain
mohabbat karne wale log pagal log hote hain
kisi se jo nahin Darte
ye wo dariya hain jin ki aaKHiri manzil
abad ka aaKHiri sahil
ye wo dariya samundar jin ka rasta hai
samundar kis se kab tasKHir hota hai
samundar hai zamana
aur zamana kis se kab zanjir hota hai
(1168) Peoples Rate This