Bebasi Git Bunti Rahti Hai
KHwab garmi ki chuTTiyon pe gae
ho gae band gate aaankhon ke
ishq ko daKHila mila hi nahin
KHwahishen lockeron mein qaid rahin
jo bike us ke dam achchhe hon
zindagi ho ki koi titli ho
be-sabaati ke rang kachche hain
kaun batlae un zaminon ko
jangalon ke ghane daraKHton mein
gar KHizan bele-Dance karti ho
misr ko kaun yaad karta hai
kam nahin lucknow ki umrao
is se behtar yahan pe hain firaun
kaun sa dewta aur kya ramis
mirza-'wajid'-ali bhi kam to nahin
kaun girya kare, kare matam
kaun tariKH-e-kisht-o-KHun ko paDhe
bebasi git bunti rahti hai
donon aaankhon ko Dhanpe hathon se
(947) Peoples Rate This