Ali-baba Koi Sim-sim
ali-baba
ye ujlat himmaton ko past karti hai
mohabbat raste mein maut ko tajwiz karti hai
hawas teri ghane jangal se choron ko
meri basti mein le aai
wo chaalis chor
basti ke gali-kuchon mein ab maqtal sajate hain
ali-baba
KHazana pane ki ujlat
tere mazi ki mahrumi ka
abtar shaKHasana hai
ye teri bad-nasibi se bhi bad-tar ek fasana hai
nahin hai koi marjina, teri achchhi kanizon mein
jo basti ko bacha leti
salamat hai na tera ghar
na mera dil
na ab darbar-e-shahana?
tujhe kya hai?
hawas teri rahe baqi
ye basti aag ki taswir ho jae
agar ye rakh ka hi Dher ho jae
tujhe kya hai?
kanizon KHasa-daron aur ghulamon se
tujhe fursat nahin milti
wahi baghdad jis ke sab gali-kuche
kabhi the mah-washon ke
gul-ruKHon ke aaina-KHane
sitare aasman se jhuk ke jin ko roz takte the
jo auraq-e-musawwar the
wahan par dhul uDti hai
har ek jaanib ajal ki hukmarani hai
zamin par aag jalti hai
zamin par aag jalti hai
ali-baba
KHazana pane ki masarrat se ziyaada ab
aziyyat hai
KHazana pane ki ujlat
hawas teri
ghane jangal se choron ko meri basti mein le aai
koi sim-sim
koi bhi ism-e-azam ab
hamari mushkilen aasan nahin karta
koi darman nahin karta
(990) Peoples Rate This