Badan Ko KHak Kiya Aur Lahu Ko Aab Kiya
badan ko KHak kiya aur lahu ko aab kiya
phir is ke baad murattab naya nisab kiya
thakan sameT ke sadiyon ki jab gire KHud par
tujhe KHud apne hi andar se bazyab kiya
phir is ke baad tere ishq ko lagaya gale
har ek sans ko apne liye azab kiya
agar wajud mein aa kar use na milna tha
hamein kyun bhej ke is dahr mein KHarab kiya
usi ne chand ke pahlu mein ek charagh rakha
usi ne dasht ke zarron ko aaftab kiya
(681) Peoples Rate This