Sham KHamosh Hai PeDon Pe Ujala Kam Hai

sham KHamosh hai peDon pe ujala kam hai

lauT aae hain sabhi ek parinda kam hai

dekh kar sukh gaya kaise badan ka pani

main na kahta tha meri pyas se dariya kam hai

KHud se milne ki kabhi ganw mein fursat na mili

shahr aae hain yahan milna-milana kam hai

aaj kyun aaankhon mein pahle se nahin hain aansu

aaj kya baat hai kyun mauj mein dariya kam hai

apne mehman ko palkon pe biTha leti hai

muflisi jaanti hai ghar mein bichhauna kam hai

bas yahi soch ke karne lage hijrat aansu

apni lashon ke muqabil yahan kandha kam hai

dil ki har baat zaban par nahin aati hai 'fahim'

main ne socha hai ziyaada use likkha kam hai

(2705) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sham KHamosh Hai PeDon Pe Ujala Kam Hai In English By Famous Poet Faheem Jogapuri. Sham KHamosh Hai PeDon Pe Ujala Kam Hai is written by Faheem Jogapuri. Read famous Poem Sham KHamosh Hai PeDon Pe Ujala Kam Hai for youth and Student by Faheem Jogapuri. Free Download Sham KHamosh Hai PeDon Pe Ujala Kam Hai in PDF.