Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_35481007121b625b4d274473b36dc62b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Sajile KHiram Karte Hain - Faez Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Jab Sajile KHiram Karte Hain

jab sajile KHiram karte hain

har taraf qatl-e-am karte hain

mukh dikha chhab bana libas sanwar

aashiqon ko ghulam karte hain

ye chakore mil us sirijan sun

raat din apna kaam karte hain

yar ko aashiqan-e-sahab-fan

ek dekhe mein ram karte hain

gardish-e-chashm sun sirijan sab

bazm mein kar-e-jam karte hain

ye nahin nek taur KHuban ke

aashnai ko aam karte hain

ji ko karte hain aashiqan taslim

jab wo hans kar salam karte hain

murgh-e-dil ke shikar karne kun

zulf o kakul ko dam karte hain

shoKH mera butan mein jab jawe

us ko apna imam karte hain

KHub-ru aashna hain 'faez' ke

mil sabi ram ram karte hain

(998) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Sajile KHiram Karte Hain In English By Famous Poet Faez Dehlvi. Jab Sajile KHiram Karte Hain is written by Faez Dehlvi. Read famous Poem Jab Sajile KHiram Karte Hain for youth and Student by Faez Dehlvi. Free Download Jab Sajile KHiram Karte Hain in PDF.