Tum Aisa Karna Ki Koi Jugnu Koi Sitara Sambhaal Rakhna
tum aisa karna ki koi jugnu koi sitara sambhaal rakhna
mere andheron ki fikr chhoDo bas apne ghar ka KHayal rakhna
ujaD mausam mein ret-dharti pe fasl boi thi chandni ki
ab us mein ugne lage andhere to kaisa ji mein malal rakhna
dayar-e-ulfat mein ajnabi ko safar hai dar-pesh zulmaton ka
kahin wo rahon mein kho na jae zara daricha ujal rakhna
bichhaDne wale ne waqt-e-ruKHsat kuchh is nazar se palaT ke dekha
ki jaise wo bhi ye kah raha ho tum apne ghar ka KHayal rakhna
ye dhup chhanw ka khel hai ya KHizan bahaaron ki ghat mein hai
nasib subh-e-uruj ho to nazar mein sham-e-zawal rakhna
kise KHabar hai ki kab ye mausam uDa ke rakh dega KHak 'azar'
tum ehtiyatan zamin ke sar par falak ki chadar hi Dal rakhna
(1500) Peoples Rate This