DaraKHt-e-jaan Par Azab-rut Thi Na Barg Jage Na Phul Aae

daraKHt-e-jaan par azab-rut thi na barg jage na phul aae

bahaar-wadi se jitne panchhi idhar ko aae malul aae

nashat-e-manzil nahin to un ko koi sa ajr-e-safar hi de do

wo rah-naward-e-rah-e-junun jo pahan ke rahon ki dhul aae

wo sari KHushiyan jo us ne chahin uTha ke jholi mein apni rakh lin

hamare hisse mein uzr aae jawaz aae usul aae

ab aise qisse se faeda kya ki kaun kitna wafa-nigar tha

jab us ki mahfil se aa gae aur sari baaten hi bhul aae

wafa ki nagri luTi to us ke asason ka bhi hisab Thahra

kisi ke hisse mein zaKHm aae kisi ke hisse mein phul aae

ba-nam-e-fasl-e-bahaar 'azar' wo zard patte hi mo'tabar the

jo hans ke rizq-e-KHizan hue hain jo sabz shaKHon pe jhul aae

(1498) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

DaraKHt-e-jaan Par Azab-rut Thi Na Barg Jage Na Phul Aae In English By Famous Poet Ezaz Ahmad Azar. DaraKHt-e-jaan Par Azab-rut Thi Na Barg Jage Na Phul Aae is written by Ezaz Ahmad Azar. Read famous Poem DaraKHt-e-jaan Par Azab-rut Thi Na Barg Jage Na Phul Aae for youth and Student by Ezaz Ahmad Azar. Free Download DaraKHt-e-jaan Par Azab-rut Thi Na Barg Jage Na Phul Aae in PDF.